Tuesday 26 April 2011

Bahadur foji

Himalya ki bulandi se hum dra nahi karte.

Jamee gir jaye, kam esa kiya nahi karte.

Foji he hum aage bdhte jayenge.

Aage bdhakar kadam piche hum aaya nahi karte.

Kaat kar paharon ko hum raste khud bnate hain.

Takdir par bhrosa hum kiya nahi karte.

Hosh bhi hum me hai josh bhi khub hai.

Josh me aakar hosh hum khoya nahi karte.

Mout se to apna nata purana hai.

Samne dekh mout ko hum ghabraya nahi karte.

1 comment:

नीलांश said...

bharat desh ke jawano ke liye likhi aapki rachna ko...jai hind...